Aa Bata Denge Tujhe Kaise Jiya Jate Hai lyrics from hindi movie Dost (1974). The song is sung by Mohammad Rafi, lata mangeshkar & Shatrughan Sinha and the lyrics penned by anand bakshi.
• Movie : Dost (1974)
• Singer : Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar, Shatrughan Sinha
• Lyrics : Anand Bakshi
• Music By: Laxmikant-Pyarelal
Aa Bata Denge Tujhe Kaise Lyrics
Kaise jite hain bhala, Hamse sikho yeh ada (X2)
Aise kyun jinda hain log jaise sharminda hain log
Dil peh sehkar sitam ke tir bhi
Pehankar pavun me janjir bhee raks kiya jatha hai
Aa bata denge tujhe kaise jiya jata hai (X2)
Dar Se khamosh hai jo, kaisa befirr hai wo
Ha wo insan nahee, ek tasvirr hain wo
To bafthae khuda, jisase darta hai apan
Aur iss garibee me, badee mauj karta hai apan
Pareshan lakh sahee, gul nahee khakh sahee
Jindagee hai lajawab, yeh woh beva hai janab
Khubsurat hai jo dulhan se bhi
Dost tho dost hai dushman se bhi, pyar kiya jata hai
Aa batadenge tujhe kaise jiya jata hai (X2)
Cheej iss gum se badi, iss jamane me nahi
Jo maja rone me hai, muskurane me nahi
Isliye toh bhai, rukhi sukhi jo mile pet bharne ke liye
Aur kafi do gaj hai jamin, jine marne ke liye
Kaise nadan hai wo, ghum se anjan hai jo
Ranj naa hota agar, kya kushi ki thi kadar
Dard khud hai maseeha dosto,
Dard se bhi dava kaa dosto
Kam liya ja tha hai..
Aa batadenge tujhe kaise jiya jatha hai
Chain mehalo ki nahi, rang raliyo me mujhe
Dedo thodi si jagah apni galiyo me mujhe
Jhum kar nachne do, aaj masti me jara
Le chalo sath mujeh apni basti me jara
Bana ho sone kaa bhi, pinjara hai pinjara ji
Paisa kis kam kaa hai, dhoka bas nam kaa hai
Rok le jo labo peh git ko, apne hatho sey aisee rit ko
Thod diya jata hai..
Maine bhi sikh liya kaise jiya jatha hai
Aa bata denge tujhe kaise jiya jatha hai (X7)